9th Hum Awards in London

Lyrics





Khoobsoorat aankhon waali, khoobsoorat pyaar kar
Pyaar hai har ik jawaan dil ki zaroorat
Pyaar kar, pyaar kar, pyaar kar, pyaar kar.., pyaar kar

Akhiyaan akhiyaan, khoobsoorat akhiyaan -2
Akhiyaan akhiyaan akhiyaan, teri akhiyaan baatein karti hain
Akhiyaan akhiyaan, khoobsoorat akhiyaan
Akhiyaan akhiyaan akhiyaan, teri akhiyaan baatein karti hain
Kabhi uthh jaati hai, kabhi jhuk jaati hai
Kabhi uthh jaati, kabhi jhuk jaati, na jaane kya kya karti hain
Akhiyaan akhiyaan, khoobsoorat akhiyaan -2

(Koyi bala bhi ye, koyi qaher hai ye
Ye akhiyaan teri qayaamat hai) -2
Ek pal mein kar de hosh ye gum, ye akhiyaan teri aafat hain
Haan.. kabhi itraaye, kabhi sharmaaye
Kabhi itraaye, kabhi sharmaaye, na jaane kya kya karti hai
Akhiyaan akhiyaan, khoobsoorat akhiyaan
Akhiyaan akhiyaan, haay khoobsoorat akhiyaan

Bin lafzon ke sab kuchh bolein, kehne ki baat ko samjha dein -2
Ik aisa jaadoo hai in mein jo bhi chaahein woh kar paatein
Haan main kya samjhoon, main kya jaanoon
Main kya samjhoon, main kya jaanoon, na jaane kya kya karti hai
Akhiyaan akhiyaan, khoobsoorat akhiyaan -2