[in lamhoo ki har daali par khil gaye
phool kayi, jab dil se dil mil gaye
aankhein aankhon se kehne lagi hai
ek nayi dastaan
(halke halke rang chhalke
jaane abb kya hone ko hai) - 2] - 2
saahil pe jaise aati hai lehraake mauje
dil mein aayi hai umange
bheegi hawaayein gaati hai meethi si dhun mein
jaagi jaagi hai tarangein
ajnabee jo kal mile the
faasle unke kam ho gaye
(halke halke rang chalke
jaane abb kya hone ko hai) - 2
phoolon ki rut mein bhawarein bhi deewane se hai
kaliyaan khilati hai sharmili
abb zindagi ne odhi hai ek mehki mehki
khwaabo ki chaadar rangili
tum se milke saath chalke
kya se kya dekho hum ho gaye
(halke halke rang chalke
jaane abb kya hone ko hai) - 2
in lamhoo ki har daali per khil gaye
phool kayi jab dil se dil mil gaye
aankhein aankhon se kehne lagi hai
ek nayi dastaan
(halke halke rang chalke
jaane abb kya hone ko hai) - 2