neele neele aasmaan tale
khwaab ke ho kaafilen
chalo aaisi jagah chalen
aaisi jagah chalen
suraj chaand ke pare
pariyon ka pata milen
chalo aaisi jagah chalen
aaisi jagah chalen
jaha par shokh lehren ho
arsa hi kutch dopahren ho
daude bheegi reton par thandi raat mein
ghutnon bhar samundar naap le
tere hi sang mein
neele neele aasmaan tale
khwaab ke ho kaafilen
chalo aaisi jagah chalen
pairon mein sipi ho
aankhon mein moti
saagar se sikho toh khwaahish kya hoti
suraj ka jewar hai subaha ke maathe
ghoonghat na yeh karde keh do baadal se
dekho oss ki boonde palkein apni moondein
hai ek aaisi duniya jahaan khushiyan na dhale
aao aaj usko dhund le
tere hi sang mein
neele neele aasmaan tale
khwaab ke ho kaafilen
chalo aaisi jagah chalen
din doobey roshan ho jhilmil yeh taarein
sab mein ek sapna hai sach honge saare
raaton ka andhiyara humse kehta hai
baitho toh mere ghar chanda rehta hai
tum sang khwaab poora hai
tum bin sab adhoora hai
chahe ab yeh duniya mile ya na mile
maine toh saja li hain dil mein
tere hi sang mein
neele neele aasmaan tale
khwaab ke ho kaafilen
chalo aaisi jagah chalen
aaisi jagah chalen