9th Hum Awards in London

Lyrics





Kehthe Hai Na, Kabhi Na Kabhi Kahin Na Kahin Kisi Se Pyar Zaroor Hotha Hai
Koi Na Koi Kahin Na Kahin Kise Ke Liye Zaroor Bana Hotha Hai
Dil Pe Pyar, Pyar Ki Chaahath, Aur Wahin Chaahath Ban Te Hai Dil Ke Khwaish

Tu�Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu�Mere Sapno Ka Jahaan
Haan Tu�Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan
Mehfuz Rakhunga Palko Mein, In Lamhon Ke Yeh Silsilein
Har Pal Dil Bar Tere Yaad Mein Baita Rahunga Tere Khwab Mein
Faryaad Karthi Yeh Zindagi Awaaz Karthi Yeh Dil-Lagi
Ummeed Ka Inthehaan, Hasrath Na Ban Ke Reh Jaaye

Dil Mein Base Ho Tum, Nazron Mein Tum, Meri Arzoo Ki Gehraiyon Mein Tum.
Bahon Ki Darmiyan, Saanson Ne Kuch Kahan, Yaadon Ki Dastan, Ab Kar Rahe Hai Bayaan
Chodd Na Jaana Mujhe Manzil Ki Rahon Pe, Meri Manzil To Hai Teri Khwaish

Tu�Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu�Mere Sapno Ka Jahaan Ho
Haan Bethab Dil Yeh Kehtha Hai
Mere Dil Mein Aa Bas Ja..
Khamoshh Se Yeh Dua, Jaane Kar Kar Karjaaye
Madhosh Se Yeh Fiza, Baahon Mein Apne Bulaaye
Aankhon Mein Aankhen Peghal Gaye
Ehsaas Rangon Mein Khul Gaye
Saanson Ko Mazil Mil Gayi
Baathon Ko Manzil Pukaare

Ab Tum Mere Ho Sirf Meri, Sirf Meri. Meri Bandage, Meri Ibadath. Aur Isi Ibadath Ke Roshini Mein Nazar Aa Raha Hai Tumhara Chehra. Chehra Jo Meri Dua Mein Bas Chuka Hai Aur Ab Tum Banchuke Ho Meri Khwaish�..

Tu Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu Mere Sapno Ka Jahaan Ho
Tu Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan

Tu Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan