9th Hum Awards in London

Lyrics





kyon aage peechhe dolte ho bhanwron ki tarah
kyon dekhte ho mujhko yun besabron ki tarah
kyon aage peechhe dolte ho bhanwron ki tarah
kyon dekhte ho mujhko yun besabron ki tarah
kya mere deewane ho nahi nahi
kya koi parwaane ho nahi nahi
kya mere deewane ho
kya koi parwaane ho
kaam kya hai mujhse itna keh do ji zara
bol de pyar hai khaamosh kyon hai khada
hum agar hote toh bol diya hota
kyon aage peechhe dolte ho bhanwron ki tarah
kyon dekhte ho mujhko yun besabron ki tarah

khidki pe meri kyon rakhte ho ankhiya
karte ho kyon tum meri hi batiyaan
khidki pe meri kyon rakhte ho ankhiya
karte ho kyon tum meri hi batiyaan
mere liye aate ho nahi toh geet gungunate ho
mere liye aate ho nahi toh geet gungunate ho
baat kya hai dil mein tumhare tumko hi pata
chhod de yeh sharam tu paas usko bula
hum agar hote toh bula liya hota
kyon aage peechhe dolte ho bhanwron ki tarah
kyon dekhte ho mujhko yun besabron ki tarah

haathon mein kyon hai yeh sone ka kangana
tumko pehnaake le jaaunga angana
sajani banaaoge haa ji haa ji haa
jaan bhi lutaaoge arey haa ji haa ji haa
sajani banaaoge jaan bhi lutaaoge
aaj hum kahte hai tumse pyar ho gaya
haath yeh thaamkar kaha pe tu hai chala
apna bhi shukriya kar diya hota

hum aage peechhe dolte hai bhanwron ki tarah
hum dekhte hai tumko yun besabron ki tarah
kya mere deewane haa ji haa ji haa
kya koi parwaane arey haa ji haa ji haaji haa
kya mere deewane ho kya koi parwaane ho
aaj hum kahte hai tumse pyar ho gaya