Dost Milte Hain Bichhadne Ke Liye
Phool Khilte Hain Bikharne Ke Liye
Aashiyaan Bante Ujadne Ke Liye
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Ik Ubaal Thaa Ik Junoon Thaa Mere Jism Mein Garm Khoon Thaa
Sochaa Kuchh Nahin Bas Nikal Gayaa
Apni Aag Mein Khud Hi Jal Gayaa
Apni Aag Mein Khud Hi Jal Gayaa
Dhoop Chadti Hai Utar Jaati Hai
Mauj Saahil Pe Thahar Jaati Hai
Baat Bhi Had Se Guzar Jaati Hai
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Har Taraf Yahaan Maut Hai Ravaan
Zindagi Mujhe Laayee Hai Kahaan
Dekhaa Aainaa To Main Dar Gayaa
Jeene Ke Liye Kitnaa Mar Gayaa
Jeene Ke Liye Kitnaa Mar Gayaa
Vaqt Jaadoo Hai Ye Chal Jaataa Hai
Roop Kaa Rang Bhi Dhal Jaataa Hai
Tap Ke Lohaa Bhi Pighal Jaataa Hai
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Ab Samajh Aayaa Ke Duniyaa Kyaa Hai
Duniyaa Kyaa Hai
Duniyaa Kyaa Hai