9th Hum Awards in London

Lyrics





ho tu na thi jab yaha jaise koi kami thi
haske bhi aankho mein halki halki nami thi
tu jo aayi toh chalka hua jaise pyar hain
tu jo aayi toh jaise ke aayi bahaar hain
tu jo yu dil mein hamare aa gayi jazbaat jaage kayi
khushiya mili hain nayi
ghar jke aangan mein khushiyo ki jaise puhaar hain
aapne pyaas ko deke paani ki hain sanjone ki meharbaanoo
apne kya hain sapne kya hain hota kaise mohabbat ka ikraar hain
tu jo aayi toh chalka hua jaise pyar hain
ho shubh din aa gaya
sabko iski badhaai
yeh ghadi ek nayi
zindagi saath layi
zindagi aa gayi ek nayi mode par
beeti baato ko ab peetche hi chodkar
dekho isko tumhara kaha intezaar hain
tu jo aayi toh jaise ke aayi bahaar hain

meri aankho ab koi dekhe na mere aansu
mere dil se is gham ko sabse chupake rakh le tu
kyon ho lubhaye se kyon ho yu gumsum se
dil ki saari baatein kaise kahu tumse
kya kahu kitni mujhko khushi yeh dekhkar hain mili
aaj khush hain koi
jiski chahat ke saagar ka nahi koi paar hain
zindagi aa gayi ek naye mode par
beeti baato ko ab peetche hi chodkar
dekho kisko tumhara kaha intezaar hain
tu jo aayi toh chalka hua jaise pyar hain
tu jo aayi toh jaise ke aayi bahaar hain