9th Hum Awards in London

Lyrics





Laila Ki Saans Ki Dor Bandha Woh Deewana Woh Majanu Hai
Woh Hosh Nahi Behosh Baawara Nahi Jaanta Woh Kyon Hai
Behosh Use Rehne Do, Ki Hosh Mein Woh Aayega
To Neend Mein Usaki Laila Ka, (Woh Khwaab Tut Jayega - 3)
(Koi Patthar Se Na Mare - 2, Mere Deewane Ko, Deewane Ko) - 2
So Hi Lene Do, Uska Dard Yehi Hai, Dawa Yehi Hai
So Hi Lene Do, Uska Din Yehi Hai, Jahaan Yehi Hai
So Hi Lene Do, Ki Woh Jag Pada To Dar Jaayega
Phir Bilak Jaayega Ki Phelu Mein Laila Nahi Hai
Maut Bhi Ghabraayegi - 2 Paas Mein Aane Ko
(Koi Patthar Se Na Mare - 2, Mere Deewane Ko, Deewane Ko) - 2

Rakhna Sambhaal Ke Yeh Patthar, Kal Ko Woh Din Bhi Aayega
Jab Patthar Honge Yeh Makaan, Inki Bhi Hogi Ek Zubaan
Ki Dastan-E-Laila Majanu, Shaqs Shaqs Dohraayega
Patthar Ka Dher Yeh Aaj Yeh Kal Ka Tajmahal Kehlaayega
Nahi Mil Payega - 2 Phir Waqt Tumhein Pachhtaane Ko
(Koi Patthar Se Na Mare - 2, Mere Deewane Ko, Deewane Ko) – 2