Haan... kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukun ke pal
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Hmm...
Andhere ko andhera nahin sirf rohsini mita sakti hai
Nafrat ko nafrat nahin sirf pyar mita sakta hai
Jaise koi kinaara
Deta ho sahaara
Mujhe woh mila kisi mod par..
Koi raat ka tara
Karta ho ujala..
Vaise hi roshan kare woh shehar
Dard mere wo bhula hi gaya
Kuckh aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha raha..
Hmm.. jaise barish kar de tarr
Ya marham dard par
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar