O Koi keh do taaron ko itna na jhuken
Sooraj mombatti ban meri raaton mein jale
Har manzil besabri se dastak hai kare
Lakeerein haathon ki meri marzi pe muden
Kora kagaz diya hai, hathon mein mere
Main likh jaaun jo bhi waise din honge mere
Yaar langotiya hai yeh, Khuda bhi jo mera
Karta hai hamesha, jo bhi man mein ho mere
Mere hi isharon pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere
Mere hi isharon pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere
Khwahishon ki dukaan pe
Mera khaata hai chalta ji
Kismat ka bhi to chonga
Mere naap se kat-ta, banta hai ji
Oon ke gole jaisi
Raahen khulti aisi
Mere pairon ke tale
Meri manzil hogi agar
Saare jahan se behtar
Khud se aake woh to
Mere peechhe daude chale
Mujh se jo hain bhale woh
Karte sau paintare jo
Lagta nahi unse dar mujhko
Roko chakke ki jaam se
Main to bhai kood-faand ke
Kar dunga aage yaar main khud ko
Daanv ke pench leke
Paala rasson se kheench ke
Kas doonga jeet ke main purje
Mujhko zameen pe baandho
Kar lo door aasman ko
Main to phir udd jaaun phurr se