9th Hum Awards in London

Lyrics





Dil ko samjha bujha ke
Khud ko ullu bana ke
Ullu seedha karta rehta hai
Jo woh toota nahi hai
Khud se rootha nahi hai
Phir kyun aise tubta rehta hai

Nakli dillase, farzi khullase
Galti pe parde yeh daale hey..
De kar yeh jhaanse
Khud ko hi phaanse
Nuksaan mein dhoondhe munaafe...

Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekar si, budhdhu si

Bewajah bewakoofiyaan.. x 2

Para utra nahin hai
Bilkul sudhra nahi hai
Munh ke bal yeh girta rehta hai...
Ab bhi bigda nahi hai
Sab kuch bikhra nahi hai
Munh latka kyun phirta rehta hai..
Kitne dino se.. auron ko kose
Kaisi yeh zid pe ad gaya..
Koi to toke, kam se kam roke
Kab tak khud ko dega yeh dhokhe...

Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekar si, buddhu si
Bewajah bewakoofiyan.. x 2

Aye nadan re, aasan hai re
In hisson ko to jodna...
Kyun pareshaan hai
Na mushkil hai, maafi ke bol bolna
Aisi jhooti-moothi, kyun tadi hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hisab khole
Tu kya naape pe tole
Kya khoya hai kya hara...

Bewakoofiyaan
Be-matlab betuki si
Bekaar si, buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan... x 2