9th Hum Awards in London

Lyrics





Aao ji aao suno tumko sunaaun
Ek sapne ki story..
Ki meri palkon ki tapri ke neeche
Woh rehta tha sapna tapori

Ambar mein udhne ka shauk usse tha
Akal thi thodi
Arre chupke se, tupke se
Karna woh chaahta tha moon ki chori

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanata nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aage
Nahi Jaanata tha sapna..

Sapne ka tha, beta sapnu
Pyara pyara, bada dulaara
Bola papa aana jaldi jaldi
Tum chanda lana
Hadbadi mein, gadbadi mein
Sapna nikla sambhala fisla
Udha, pahuncha, pahuncha
Chand ke ghar gaya
Woh raat thi amaasi
Chhutti pe tha ji Chanda
Dabe paaon jo gaya tha
Khaali hath lauta banda

Yeh bavla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aage
Nahi Jaanata tha sapna..

Hmm..
Baadal baadal ghume paagal
Sapnu ko ab kaise dikhaaye
Chehra, chehra, chehra
Ya ya yeah yeah apna Chehra..

Tabhi sadak pe pada dikha ik
Ujla ujla, pyara pyara sheesha, sheesha
Sheehse mein usko jaane kya dikha
Sapnu ko ja dikhaaya
Sheeshe mein uska chehra
Bola mere pyare sapnu
Tu hi hai chaand apna

Mera bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahan hai aage
Nahi Jaanata tha sapna..

Yeh bavla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanata nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahan hai aage
Nahi Jaanata tha sapna..