9th Hum Awards in London

Lyrics





Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain
Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain
Deewani hum to unke sanam
Bas unka naam liye jaa rahe hain

Ishq hamesha hamesha rahega
Ishq hamesha hamesha rahega
Yeh wada hum to kiye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain
Deewani hum to unke sanam
Bas unka naam liye jaa rahe hain

Pyaase dilon ke nazaaron ka mausam
Aaya hai dekho bahaaron ka mausam
In baahon mein jeena hai humko
Jaan se zyada chaahe sanam ko
Ab zindagi hai tumhaari tamanna
Ab zindagi hai tumhaari tamanna
Sab kuch tumhi ko diye jaa rahe hain
Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain

Chaaron taraf hain khushiyon ke mele
Un ke bina hum akele akele
Bechaini hai dil mein jigar mein
Aane wala hai mehmaan ghar mein
Hum to unhi ke deewangee mein
Hum to unhi ke deewangee mein
Madhosh hoke jiye jaa rahe hain
Deewani hum to unke sanam
Bas unka naam liye jaa rahe hain

Jab tak phoolon mein khushboo rahegi
Mehki hawa bhi fiza mein bahegi
Jab tak yeh aalam gulzaar hoga
Dil mein humaare tera pyaar hoga
Koyi na jaane hum woh hai aashiq
Koyi na jaane hum hai woh aashiq
Chaahat ki shabnam piye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain
Deewani hum to unke sanam
Bas unka naam liye jaa rahe hain

Ishq hamesha hamesha rahega
Ishq hamesha hamesha rahega
Yeh wada hum to kiye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha
Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain