Hania Amir, Kubra Khan, Iqra Aziz at Parde Mein Rehne Do premiere

Lyrics






Chipak-chapak ke chalti hai
Kabhi kabhi do raahein

Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera kissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari

Ek taraf toh jhagda hai, saath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain toh lagta hai aath hain

Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar
Dar-badar phirtein hain ji phir bhi apni thaath hai

Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mudh jaayein
Kabhi-kabhi kahin tootein, kahin judh jaayein
Hum sham-sehar ke
Chaaron pehar ke
Mood mein dhal jaayein

Kashmir main, tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari
Hey hey

Main zara sa puncture toh tu hawa ke jaisi hai
Saath ho to pahiye takdeeron ke tight ho
Bulb bann jaaun main aur tu switch bann jaa
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho

Kabhi-kabhi chale seedhe kabhi mudh jaayein
Kabhi-kabhi paidal kabhi udh jaayein
Humein dekh zamaane walon ki chaahe naak sikud jaaye

Kashmir main, tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein dekho mushkil bhari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai toh English mein sorry

Chipak-chapak ke chalti hai
Kabhi kabhi do raahein
Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu Kashmir tu, main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari

Na na na...