Oo thehree si sehmi si hai zindagi udne do
Behti nadi se thodi si nami chun ne do
Khamoshi sunn ne do, khwabon ko bunn ne do
Hatheliyon pe likhi, dastaan badalne do
Ho ho... woh...
Madham si madhosi, dheemi si sargoshi
Sunn sako toh suno dil ke taar
Yunhi milte raho baar-baar
Ho kaisi sheher hai yeh kaisa asar hai bata
Bin jaane bin bole, humko sabhi hai pata
Thoda sa dard hai, saans bhi sard hai
Par tera aashiyaan mil gaya
Chahiye kya
Ho ho... woh...
Simti simti, saundhi si hai dupehar
Beeghe bechainiyon mein doobi si hai yeh leher
Chaayi hai chashni, par hai khoyi kami
Kho sakoon jis jagah, paya hai tumhe wahan
Ho ho... woh...
Baahon me leke tumhe kuch na kuch bol de
Chahat ki nadiyan mein chandi ka ras ghol de
Aao na saath do, mujhko parwaz do
Koi meethi si kaano mein awaaz do
Ho ho... woh...