9th Hum Awards in London

Lyrics





Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Jaise bhi ho din
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine
Yeh jaana hai, khushi hai kya, gumm kya
Dono hi, do pal ki hai ruttein
Na yeh thehre na rukey
Zindagi do rangon se bane
Ab roothe ab maane
Yehi toh hai, yehi toh hai, yahaan

Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine
Yeh jaana hai kise kahoon apna
Hai koi, jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan

Koi sunaaye joh hassti muskaraati kahani
Kehta hai dil, main bhi sunu
Aansu bhi moti ho jo kisi ke nishaani
Kehta hai dil main bhi chunu
Baahein dil ki ho baahon mein chalta
Chalun yunhi raahon mein
Bus yunhi, ab yahan, kab wahan

Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya

Hai koi, jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi, toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan
(sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan)