9th Hum Awards in London

Lyrics





Kab tak yeh duniya, aankhon ko meeche
Soti rahegi, takiye ke neeche
Zubaan pe taale, rakhenge kab tak
Khoonti se khwaab bandhe, rahenge kab tak

Awaaz do apne dil ko, azaadiyan haasil ho
Awaaz do apne dil ko, azaadiyan haasil ho

Jin kadmon mein ho chalta junoon
Rokey rokey woh kahan
Jin baahon ko thaame yakeen
Thaame usse yeh jahaan (yeh jahaan)

Oo jin kadmon mein ho chalta junoon
Rokey rokey woh kahan
Jin baahon ko thaame yakeen
Thaame usse yeh jahaan
Udh jaane do, beh jaane do
Khudi ko do parwaz woh, khuda ke dil ko choo le jo

Awaaz do apne dil ko, azaadiyan haasil ho
Awaaz do apne dil ko, azaadiyan haasil ho

:: Gale Laga Le ::

Haan kiya mehsoos ke woh
Rago mein jo daudta hai
Mili jab roshni toh
Sholon sa khaulta hai woh

Ho kitaabon mein likha jo
Humne kab woh padha hai
Likhte hain hum falak pe khud hamari daastan

Gale laga lee, gale laga le, gale laga, gale laga lee zindagi - 2x

Dhundli, dhundli nigahein
Dhundle, dhundle hai khwaab
Dhundli teri nigah hai
Dhundle se din mein khwaab hai
Khol nigahein

Bandhe khwaabon ko udh jaane de
Tera hai yeh jahan, tera hai ye jahan

Ho ho ho haan bandhishon se nikal ke
Dil ki raahon pe chal ke
Mila hai ab pata hume khwaabon ki lakeeron ka

Gale laga lee, gale laga le, gale laga, gale laga lee zindagi - 2x