9th Hum Awards in London

Lyrics





Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai
Har dil hai mohra pyaar mein
Pyaar mein, ik dil maqroor hai, ik gham se choor hai
Har dil hai mohra pyaar mein
Ho ho ho, kisi ke liye, rab ki raza
Kisi ke liye, gehari saza
Dono chehre iss ke juda
Hai maza pyaar mein
Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai
Har dil hai mohra pyaar mein

Kehte hain pyaar woh hai, kaanto ka haar jo hai
Ya phir kisi ki khaatir, rimjim puhaar woh hai
Chingaariyon ke jaisa, dil ka malaal hai toh
Takdeer mein kisi ki, jashn-e-bahaar woh hai
Ek sa, kab iss ka roop hai
Ik pal yeh doop hai
Ik pal hai kohra pyaar mein
Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai
Har dil hai mohra pyaar mein

Ho ho ho, kisi ke liye, ujli subha
Kisi ke liye, hai kadvi zuban
Dono chehre iss ke juda
Hai maza pyaar mein
Marz kabhi, kabhi hai daba
Kabhi hai adam toh kabhi hai dhuan
Dono chehre iss ke juda
Hai maza pyaar mein

Ik dil ka hausla hai, khushiyon ka silsila hai
Toh koi dil bechaara, rukha hai dil jala hai
Tohfe mein yeh kisi ko, dono jahaan de de
Badle mein kyun kisi ko, afsos hi mila hai
Pankh hain, kyun ik dil ke liye
Aur dujhe ke liye
Har lamha behra pyaar mein
Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai
Har dil hai mohra pyaar mein

Ho ho ho, kise ke liye, mehki hawa
Kise ke liye, hai sirf jafa
Dono chehre iss ke juda
Hai maza pyaar mein
Marz kabhi, kabhi hai daba
Kabhi hai adam toh kabhi hai dhuan
Dono chehre iss ke juda
Hai maza pyaar mein