9th Hum Awards in London

Lyrics





Khwaabon ke lifaafon mein
Kisso mein kitaabon mein
Fursaton ki baaton mein
Arson se khayalon mein
Thodi khoyi hui
Kab se soyi hui
Woh aadat hai voh

Karwaton ki baahon mein
Silwaton ki raahon mein
Sehmi sehmi saanson mein
Surmayi si baaton mein
Zid si chhoote nahin
Mujhse roothe nahin
Woh aadat hai voh

Woh dekhe jidhar, dole neeyat udhar
Yeh mehka hunar, usne seekha kidhar

Usko banane wala, kuch kuch toh behka hoga
Jab bhi padi hogi nazar
Chot banke kabhi, aise dil pe lagi
Voh aadat hai voh

Intezaaron mein rahoon
Umar bhar main toh rukoon
Dil ko kaise doon sukoon
Uss se main ye keh sakoon
Yun zubaan pe chadhi
Mehngi jo hai padhi
Woh aadat hai voh

Woh dekhe jidhar, dole neeyat udhar
Yeh mehka hunar, usne seekha kidhar

Usko banane wala, kuch kuch toh behka hoga
Jab bhi padi hogi nazar
Chot banke kabhi, aise dil pe lagi
Woh aadat hai voh

Khwabon ke lifaafon mein
Kisso mein kitaabon mein
Fursaton ki baaton mein
Arson se khayalon mein
La la la la
Woh aadat hai voh