9th Hum Awards in London

Lyrics





Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare
Hai zindagi ke ajab rang dang
Ajab si dhun mein mujhe pukaare
Hai zindagi ke ajab rang dang
Ajab si dhun mein mujhe pukaare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare

Yeh pyaas kaisi ke paaniyon ko
Kareeb se bas main behte dekhun
Aur apne khwaabon ke sang sach ko
Bade sakoon se main rehte dekhun
Ajab jharoke se khul gaye hain
Ajab si khidki, ajab nazaare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare

You got me so confused I can't tell if I'm coming or going
I got no way to know that you feeling ..
You know I try and try I just can't breath the signs of showing
You got me so confused I can't tell if I'm coming or going

Nishaan kal ke, jo rait pe the
Unhe samandar ne pee liya hai
Aur ek jhonke ne baasuri se
Guzarte lamho ko jee liya hai
Ajab si baarish yeh ho rahi hai
Baras rahe hain yeh chaand taare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare
Hai zindagi ke ajab rang dang
Ajab si dhun mein mujhe pukaare
Hai zindagi ke ajab rang dang
Ajab si dhun mein mujhe pukaare
Ajab leher hai, meri padosi
Ajab se cheentay, ajab ishaare