9th Hum Awards in London

Lyrics





O bekhabar, o bekadar, betaabiyon ko na badah
Dekh le hai pyaar ka kaisa nasha mujhpe chadha
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon ko na badah
Aa dekh le hai pyaar ka kaisa nasha mujhpe chadha
Kaisa nasha mujhpe chadha ..

O bekhabar, o bekadar, betaabiyon, bechainiyan hai jawan
Meri nazar dhoonde tujhe tu kahan
Haan tujhko main aankhon ka kaajal bana loon
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon, bechainiyan hai jawan
Chaahungi main yuhin tujhe bepanha
Haan tujhko khushi sa labho pe saja loon
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon ko na badah
Aa dekh le hai pyaar ka kaisa nasha mujhpe chadha
Kaisa nasha mujhpe chadha ..

Roop hoon teri dhoop hoon
Tu suraj hai mann ka mere
Ya ghani main hoon roshni
Ab chalte hoon dhalte hoon tujhko hi
Haan mere ik pehar, tu kahe thehar
Toh jaaon nagar se tere
Har ghadi mushkilon bari
Kyun lagti hai jo bhi badalti hai bin tere
Tu mile toh silsile, ho ho shuru jo hai khuda ki raza
Tere bina hai zindagi bemaza
Tu mil jaaye toh main jahan se chhupa loon
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon, bechainiyan hai jawan
Meri nazar dhoonde tujhe tu kahan
Haan tujhko main aankhon ka kaajal bana loon
O bekhabar

O pyaar bhi yun kabhi kabhi
Kar deta pareshaaniyan
Har jagah wohi woh lagey
Woh aashiq anari jo dil de ke leta
Ya paas bhi ho woh door bhi
Yeh kyun ho woh batlaaye na
Dil darre minnate kare
Ab usko yeh bolo ke aaye toh jaaye na
Bewajah, agar ho pata, kya hai yahi dil ki khata ki saza
Khud mein hi main, hoti hoon kyun laapata
Main janu na iss dil ko kaise sambhalun
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon, bechainiyan hai jawan
Meri nazar dhoonde tujhe tu kahan
Haan tujhko main aankhon ka kaajal bana loon
O bekhabar, o bekadar, betaabiyon ko na badah
Aa dekh le hai pyaar ka kaisa nasha mujhpe chadha
Kaisa nasha mujhpe chadha...