9th Hum Awards in London

Lyrics

Mere bina main rehne laga hoon
Teri hawa mein behne laga hoon
Jaane main kaise, tera hua hoon
Mujhe toh lagta hai main shayad tere dil ki dua hoon haan
Tujhko jo paaya aha
Toh jeena aaya
Ab yeh lamha thehar jaaye tham jaaye bas jaaye hum dono ke darmiyaan
Tujhko jo paaya aha
Toh jeena aaya
Ab yeh lamha thehar jaaye tham jaaye bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Pehle se zyada
Main jee raha hoon
Tere hi dil se main toh judaa hoon
Raahon pe teri, main toh chala hoon
Tu meri manzil hai tere kadmon pe bas rukne laga hoon haan

Tujhko jo paaya [tujhko jo paaya] aha
Toh jeena aaya [jeena aaya]
Ab yeh lamha thehar jaaye tham jaaye bas jaaye hum dono ke darmiyaan
Tujhko jo paaya [tujhko jo paaya] aha
Toh jeena aaya
Ab yeh lamha thehar jaaye tham jaaye bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Teri nazar mein nayi si adaa hai
Naya sa nasha bhi ghula hai
Kayi dino se bandha tha baadal jo
Tere hi baalon mein khula hai
Teri haddon mein, meri basar hai
Ab tujhe bhi, jaana kidhar hai
Jahan rahe tu, main woh jahan hoon
Jise jiye tu, main woh samaa hoon
Teri wajah se, naya naya hoon
Maine kaha na pehle ab toh yeh main kehne laga hoon