9th Hum Awards in London

Lyrics





Aayi meri subah hassti hassati
Boli aankhein tere liye sandesa hai, haan hai
Jaagi aankhon ka bhi sapna milega
Koi khushiaane ka bhi andesha hai, haan hai

Gulaabi si subah
Sharaabi si hawa
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi prem dhun woh sunaye
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi raam dhun woh sunaye

Raahein wahein bole baatein rumani
Aao baitho suno baatein kahani hai, haan hai
Taazi taazi lagey humko ruzana
Teri meri baatein yun to purani hai, haan hai

Khayalon se pale
Ye zindagi chale
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi prem dhun woh sunaye
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi raam dhun woh sunaye

Meri aankhon ki siaahi, piya deti hai gawahi
Main pyaasi thi niraasi, kyun paani ki surahi
Meri aankhon ki siaahi, piya deti hai gawahi

Tujhe dekha to khila hoon
Tere chahat mein dulah hoon
Mile mandir mein khuda ju
Main to tujh mein yun mila hoon

Meri aankhon ki siaahi, piya deti hai gawahi
Meri aankhon ki siaahi, piya deti hai gawahi

Dhoonde na ab koyi
Main khoya tu khoyi
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi prem dhun woh sunaye
Bheegi si bhaagi si
Meri baazuon mein samayi
Jogi si jaagi si
Koi raam dhun woh sunaye