bewafaa tere sang wafaa ki umid kar baithe
kya karein kya karein sanam hum to tumpe hi mar baithe
ek tum hi bache the kya duniya mein dil lagaane ke liye - 2
tumne dil ko dhadakaaya, tumne dil ko tadpaaya
tumne badi bechaini di, fir bhi tumpe pyaar aaya
ek tum hi bache the kya, duniya mein dil lagaane ke liye - 2
(lamha lamha sanam, gujaara hain teri chaahat mein
tanaha tanaha raha ye dil, hum jiye tere hasrat mein) - 2
tumne dil ko dhadakaaya, tumne dil ko tadpaaya
tumne badi bechaini di, fir bhi tumpe pyaar aaya
ek tum hi bache the kya, duniya mein dil lagaane ke liye
aafreen aafreen aafreen aafreen
afreen tera chehra
afreen teri aankhen
tera pyaar paana hai, chaahe jo ho
(haal kya kar gaya, junoon dil ki bekaraari ka
kis kadar chaaya rang ye, ulfaton ki khumaari ka) - 2
tumne dil ko dhadakaaya, tumne dil ko tadpaaya
tumne badi bechaini di, fir bhi tumpe pyaar aaya
ek tum hi bache the kya, duniya mein dil lagaane ke liye - 2