9th Hum Awards in London

Lyrics





Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lagi daraaron se
Main tere jism ki hoon parchhaai
Mujhko kaise rakhoge khud se judaa
Bhool karna to meri fitrat hai
Kyoon ki insaan hoon main, nahin hoon khuda - 2
Mujhko hai apni har khata manzoor
Bhool ho jaati hai insaanon se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lagi daraaron se
Jab kabhi shaam ke andheron mein
Raah panchhi jo bhool jaate hain
Voh subaah hote hi milon chalkar
Apni shaakhon pe laut aate hain - 2
Kuch hamaare bhi saath aisa hua
Hum yehi keh rahe ishaaron se
Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se