ishq dhamaakaa - 8
jisake dil mein samaayi chain usakaa churaayi
aise hosh udaayi paagal ye kar jaaye
ishq dhamaakaa - 8
ye har dil pe kaabu karale pehele haule haule
raftaa raftaa pyaar ke shole ye nas nas mein ghole
har diwana har mastana isake nashe mein dole
ye aafat ye hai jaadu jo sar chadke bole
(jaan ke dushman isake ishare
daman mein bhar de angaare) - 2
bhedi banke raaz dilon ke khole
ishq dhamaakaa - 8
ishq ki masti jo bhi paaye jhoomen aur lehraaye
mar ke bhi zinda ho jaaye jisko ishq mitaaye
ishq davaa hai darde dil ki ishq hi rog lagaaye
ishq kare woh bhi pachhataaye jo naa kare pachhataaye
(ishq tadap hai ishq nashaa hai
ishq sitam hai ishka wafaa ha) - 2
duniya uski ishq mein jo bhi hole
ishq dhamaakaa - 4