Hania Amir, Kubra Khan, Iqra Aziz at Parde Mein Rehne Do premiere

Lyrics





Nat-khat nat-khat jamuna ke tath par kuch toh churaye haye maiyya
Dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya
Kaise main jaaoun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re
Kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re

Maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par
Maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
Ho maiyya yashoda kaise jaaoun ghar jamuna ke pul par
Maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

Mori baanh hai modhi (nat-khat re)
Par dil ko jodhi (nat-khat re)
Mori gagri koti (nat-khat re)
Main bojh se chhoti (nat-khat re)
Mori thaame kalai uss kinaare le gaya

Ho maiyya yashoda sacch kehta hoon main jamuna ke pul par
Maakhan ki gagri se maakhan bacha le gaya
Ho maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe
Maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

Ho suna tha ik din maine jamuna tath par chalte chalte
Kisi gopi ko beth akele rotey raina dhalte
Maine socha ke meri maiyya se main kya bolunga
Kahe na roka uss roti gorriya ke dil ko chalte
Haan maakhan toh churaya, par usko bhi sikhaya
Ke tu bhi toh thoda sa chak le bhai
Oo maai hum dono phir jaa baithe uss jamuna ke pul par
Maakhan hum mil ke, re maakhan chata ho gaya

Oo maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe
Maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

Ho maahi mohe laaj aave kaahe main ro ro karti thi
Tu hi maakhan chori main beth ke bas aahein bharti thi
Phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya
Ho phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya
Chori hota tha maakhan kyun ke chaaron se darrti thi
Jo maakhan jam ke khaye, toh kya koi churaye
Toh chakh le aur chakha le thoda maai
Ho maai tore nat-khat ko maine hi jamuna ke pul pe
Maakhan khilaaya re maakhan mera ho gaya

Maiyya yashoda sach kehta hun main jamuna ke pul par
Maakhan haan gori ko maakhan khilane gaya

Nat-khat nat-khat jamuna ke tath par kuch toh churaye haye maiyya
Dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya
Kaise main jaaoun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re
Kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re

O maiyya yashoda, o maiyya yashoda

O maiyya yashoda mori maiyya yashoda mori
Maiyya yashoda sach kehta hun main jamuna ke pul par
Maakhan ki gagri se maakhan bacha le gaya ...