Hania Amir, Kubra Khan, Iqra Aziz at Parde Mein Rehne Do premiere

Lyrics





Chaani jo khaak to mitt ke sona, tu ban gaya
Ghamon ki aag mein tap ke suraj, tu ban gaya
Chaani jo khaak to mitt ke sona, tu ban gaya
Ghamon ki aag mein tap ke suraj, tu ban gaya
Aaj paaya hai tune, sab kho ke mureeda
Mili jannat tujhe to, jab bigda naseeba
Fakeera - 5x

Haathon se nikli manzil jab yeh daaman chooth gaya
Aye bekhabar tu benoor ho ke roshan ho gaya
Bhari yeh khaali si jholi jo tu bhatka dar badar
Yeh bhi na jaane yeh kaafir ki dua ka hai asar
Jo taare se toota, sab khwaish milegi
Zara haathon ko phelaa, mannatein sab milengi
Fakeera - 5x

Hua tabah aur hadd se zyada khoya jab qaraar
Udhi udhi tab saansein jaise udta hai gubaar
Socha kare kis pal mein dil ko raahat hai mili
Khuda ke ghar mein taalim tujhko gir ke jab mili
Aaj paya hai tune, sab kho ke mureeda
Mili jannat tujhe to jab bigda naseeba
Fakeera - 5x