Hania Amir, Kubra Khan, Iqra Aziz at Parde Mein Rehne Do premiere

Lyrics





SR: Main jab dus saal ka tha tou mainay nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareekH ke aik naazuk mor se guzar raha hai.

Bachcha: Abbu...

SR: Main phir bees saal ka hua, maine phir nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareekh ke aik naazuk mor se guzar raha hai.

Aas baandh kar tu khara hai, tas se mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aur bus, ab nahi hota

Ali Azmat: Tou kia karun? Himmat haar doon?

SR: Nahi, Laga reh.

Chorus:
Laga reh, laga reh, tu laga reh
Khara reh, khara reh, tu khara reh
Para reh, para reh, tu para reh

Laga reh, laga reh, tu laga reh
Ara reh, ara reh, tu ara reh
Para reh, para reh, tu para reh

Buzurgon ne mujhse pocha mulk kaise ye chalega?
Buzurgon ko main ye bola lagay raho, lagay raho
Buzurgon ne mujhse pocha mulk kaise ye chalega?
Buzurgon ko main ye bola

SR: Mujhe fikr ye nahi ke ye mulk kaise chalega, Mujhe fikr ye hai ke kaheen ye aise he na chalta rahay.

Laga reh, laga reh, tu laga reh
Khara reh, khara reh, tu khara reh

SR: Yaar, mulk mein bari tension ho gaye hai.

Buzurg: Koi nahi, koi nahi, sub kuchh Allah pae chhor dou.

Kuchh na kar
Kuchh na kar tu
Sab kuchh Allah pe chor de
Bus Allah he tera hafiz hai

Ae bhai, tu bhi naazuk mor ban gaya, tas say mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aur bus, ab tou dukh hota hai, yaar

Wakeel: Koi nahi, abhi bhi baray naik log baaqi hain is dunya mein.

Buzurgon ne mujhse pocha naik kaun hai ye tou bata?
Buzurgon ko main ye bola

SR: Naik woh hai jis ko mauqa nahi mila.

Chorus (x2)

News Reporter: Saare mulk mein amn-o-amaan ki surat-e-haal bahaal hai.

Bridge:-

Aur phir aik din tere pairon ke nechay se zameen nikal jayegi
Aur phir woh tujhe kahenge
Kahenge tu ur raha hai hawaaon mein
Tu ur raha hai hawaaon mein

Aam Aadmi : Tou kia hum sach much hawaaon mein urenge? Hain?

SR: Tu nahi samjhega, bay.

Chorus (x2)