Hania Amir, Kubra Khan, Iqra Aziz at Parde Mein Rehne Do premiere

Lyrics





Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Aakar mujhe tum tham lo
Manzil teri dekhe rasta
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha


Bichhde bhi ham jo kabhi raston main
To sang sang rahungi sada
Kadmon ki aawaaz sun ke chalungi
Tumhe dhoond loongi sada
Bhooli mohabbat ki yeh khushbuye hain
Hawaon main phaili hui
Chhu kar mujhe aaj mahsoon kar lo
vo yadein meri unchhui
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Aaa.. Aaa..
Vadon ke dhagon main hum tum bandhe hain
Zara dor tum tham lo
Bahon main aise pighal jane do mujhko
Aise mera naam lo
Main vo shama hoon jo roshan tumhe karke
khud to pighal jaungi
Subah ka sooraj tumhare liye hai
Main hoon raat dhal jaungi
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha